ट्रेन चलती जा रही है ट्रेन चलती जा रही है
जा रहा कोई ह्रदय में प्रिय मिलन की आस लेकर
और कोई जा रहा है सिन्धु सा संत्रास देकर
बेखबर वह विरह स्वर को मिलन धुन में गा रही है
ट्रेन चलती जा रही है ट्रेन चलती जा रही है
मिल गयी जिसको जगह बेफिक्र हो वह सो रहा है
किन्तु जो पाया नहीं वह व्यवस्था को रो रहा है
हैं बहुत अवरोध लेकिन लक्ष्य तक पंहुचा रही है
ट्रेन चलती जा रही है ट्रेन चलती जा रही है
वह नहीं टिकता यहाँ पर आ गया जिसका ठिकाना
एक शाश्वत सत्य जो आया उसे पड़ता है जाना
सृष्टि के इस नियम को यह बिन कहे समझा रही है
ट्रेन चलती जा रही है ट्रेन चलती जा रही है
- Rajendra Pandit
train chalti ja rahi hai train chalti ja rahi hai
ja raha koi hriday me priy milan ki aas lekar
aur koi ja rahaa hai sindhu sa santras dekar
bekhabar vah virah swar ko milan dhun me ga rahi hai
train chalti ja rahi hai train chalti ja rahi hai
mil gayi jisko jagah befikr ho vah so rahaa hai
kintu jo paya nahin vah vyavastha ko ro rahaa hai
hain bahut avrodh lekin lakshy tak panhucha rahi hai
train chalti ja rahi hai train chalti ja rahi hai
vah nahin tikta yahaan par aa gayaa jiska thikana
ek shashwat saty jo aaya use padta hai jaana
srishti ke is niyam ko yah bin kahe samjhaa rahi hai
train chalti ja rahi hai train chalti ja rahi hai
- Rajendra Pandit
No comments:
Post a Comment