Sunday, July 16, 2017

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do खुद जियो औरों को भी जीने दो

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do is Written Composed and Sung by Prem Dhawan. Here is its lyrics and notations, swar, swarlipi, sargam.
खुद जियो औरों को भी जीने दो गीत की सरगम 
गीतकार संगीतकार और गायक प्रेम धवन


Bhagwan Mahavir Swami

Bhagwan Mahavir Swami





Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do
Interlude is also same as prelude


Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do

Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do

khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raasta tumhen aman ka shanti ka waasta chaman mein phool khilte bhaant bhaant ke magar sabhi ka hota ek hi chaman hon rehnewaale ham kisi bhi praant ke hai ek apni dharti ek hi watan to phir khinche khinche se dil hain kis liye chalo dilon mein le ke ek hi lagan khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta yahi likhaa hai geeta aur quraan mein yahi hai baani nanak aur kabir ki isi liye to gandhi ji ne jaan di ke jaane ham ye baat us faqeer ki unhin ki zindagi hai kisi kaam ki samajhte hain jo doosron ki peed bhi khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raasta tumhen aman ka shanti ka waasta alag alag hai apni bhaasha to bhi kya ke dil jo samjhe wo zubaan to ek hai punjab ho bangal ho madras ho hamaara ye hindostan to ek hai allah kaho ishwar kaho ke wahe guru jaana jahan hai wo nishaan to ek hai khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta hai ladna hi to mil ke lado bhookh se jo bhookh saare desh ko hai khaa rahi mitaao jaat paat lado phoot se wo phoot jo hamaare ghar jalaa rahi hai khelna hi khoon se to aao phir tumhe hai seema desh ki bulaa rahi khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta diye diwaali ke jalaao mil ke sab manaao gale mil ke saare eid bhi mitaa hai bhagat singh jo apne desh pe to tipu bhi mitaa hai aur hameed bhi hai desh zindaa kyun ke desh sab ka hai na rehti warna jeene ki ummeed bhi khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta wo swarg jo rakhaa hai aasmaan pe usey na kyun zameen pe utaar len chalo uss apne ujde huey bagh ko nayi nayi bahaaron se nikhaar len banaayen taaj jaise aur mahal kayi ajanta jaise but naye sanwaar len khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta mili hain aise saath apni qismatien ke jaise saath ganga ke jamnaa bahe to kyun na tere dil ki baat main kahoon to kyun na mere dil ka raaz tu kahe samajh len ek doosre ke gham ko ham to phir jahaan mein koyi gham hi kyun rahe khud jiyo auron ko bhi jeene do yahi to hai zindagi ka raastaa tumhen aman ka shanti ka waasta !

3 comments:

  1. Thankyou sir ��..i really needed this song

    ReplyDelete
  2. Sir this is not a mahavir this is Bhagvan tathagat Gautam budhha he so change this picture I request you please........

    ReplyDelete
  3. Picture changed. Thanks for your suggestion Dhiraj.

    ReplyDelete