Thursday, April 22, 2010

Surmaee hai sansaar

Subah ka samay hai. Thandi Thandi hawa chal rahi hai. halanki yeh April ki garmi ke din hain. din to bahut jyaada garm ho jaata hai. lekin subah ka yah samay thanda aur shant hai. ghar ke angan me ped par bulbul ki chahchahat man ko lubhane vali hai. samne ke ghar par ek chiriya alag alag aawaj me bol rahi hai. uski aawaj ko nakal karne par wah aur jor se bolne lagti hai. jise sunkar achcha lagta hai. kuch kabootar dana chugne utar rahe hain. gauraia ne bhi pados ke neembu ke ped par apna thikana banaya hua hai. sabhi gauraiya jhund me ud jaati hai phir thori der me laut aati hai. kabhi dana chugti hain, kabhi katore me bhare pani mein nahati hain. yeh sab dekh kar man prafullit ho jata hai. dheere dheere surya devta ke bhi darshan makaano ke peeche se ho rahe hai. jai ho surya devta. yahi ek devta aapko sakchhat darshan roj dete hain. tabhi fm par bansuri ki madhur dhun sunaaee deti hai. main chaay ki chuski lete hue yeh madhur dhun sunta hoon. aasmaan mein vibhinn tarah ki chidiyan south ki taraf ja rahi hain. jo ki shaam ko vapas laut aati hain. main bhi apne kaam par chaloon.
happy day.