Monday, November 28, 2011

Rangeela re tere rang mein


Rangeela re, ae rangeela
Rangeela re tere rang mein yun ranga hai mera mann
Chhaliya re na bujhe hai kisi jal se yeh jalan
Ho, rangeela re 
Palkon ke jhoole se sapnon ki dori, Pyaar ne baandhi jo tune voh todi
Khel yeh kaisa re, kaisa re saathi, Diya to jhoome hain, roye hain baati
Kahin bhi jaaye re, roye ya gaaye re, Chain na paaye re hiyaa
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re 
Dukh mera dulha hai, birha hai doli, Aansu ke saari hai, aahon ki choli
Aag main piyoon re jaise ho paani, Naari deewaani hoon peeda ki rani
Manwa yeh jale hai, jag saara chhale hai, Saans kyoon chale hai piya
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re 
Maine to seenchi re teri yeh raahein - 2, Baahon mein teri kyoon auron ki baahein
Kaise tu bhoola voh phoolon si raatein, Samjhe jab aankhon ne aankhon ki baatein
Gaaon ghar chhoota re, sapna har toota re, Phir bhi tu rootha re piya
Waah re pyaar, waah re waah
Rangeela re 

1 comment: