Prernadaayak geet - Khud jiyo auron ko bhi jeene do is Written Composed and Sung by Prem Dhawan. Here is its lyrics and notations, swar, swarlipi, sargam.
खुद जियो औरों को भी जीने दो गीत की सरगम
गीतकार संगीतकार और गायक प्रेम धवन
Bhagwan Mahavir Swami
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
Interlude is also same as prelude
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
Prernadaayak geet - Khud jiyoauron ko bhijeene do
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raasta
tumhen aman ka shanti ka waasta
chaman mein phool khilte bhaant bhaant ke
magar sabhi ka hota ek hi chaman
hon rehnewaale ham kisi bhi praant ke
hai ek apni dharti ek hi watan
to phir khinche khinche se dil hain kis liye
chalo dilon mein le ke ek hi lagan
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta
yahi likhaa hai geeta aur quraan mein
yahi hai baani nanak aur kabir ki
isi liye to gandhi ji ne jaan di
ke jaane ham ye baat us faqeer ki
unhin ki zindagi hai kisi kaam ki
samajhte hain jo doosron ki peed bhi
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raasta
tumhen aman ka shanti ka waasta
alag alag hai apni bhaasha to bhi kya
ke dil jo samjhe wo zubaan to ek hai
punjab ho bangal ho madras ho
hamaara ye hindostan to ek hai
allah kaho ishwar kaho ke wahe guru
jaana jahan hai wo nishaan to ek hai
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta
hai ladna hi to mil ke lado bhookh se
jo bhookh saare desh ko hai khaa rahi
mitaao jaat paat lado phoot se
wo phoot jo hamaare ghar jalaa rahi
hai khelna hi khoon se to aao phir
tumhe hai seema desh ki bulaa rahi
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta
diye diwaali ke jalaao mil ke sab
manaao gale mil ke saare eid bhi
mitaa hai bhagat singh jo apne desh pe
to tipu bhi mitaa hai aur hameed bhi
hai desh zindaa kyun ke desh sab ka hai
na rehti warna jeene ki ummeed bhi
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta
wo swarg jo rakhaa hai aasmaan pe
usey na kyun zameen pe utaar len
chalo uss apne ujde huey bagh ko
nayi nayi bahaaron se nikhaar len
banaayen taaj jaise aur mahal kayi
ajanta jaise but naye sanwaar len
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta
mili hain aise saath apni qismatien
ke jaise saath ganga ke jamnaa bahe
to kyun na tere dil ki baat main kahoon
to kyun na mere dil ka raaz tu kahe
samajh len ek doosre ke gham ko ham
to phir jahaan mein koyi gham hi kyun rahe
khud jiyo auron ko bhi jeene do
yahi to hai zindagi ka raastaa
tumhen aman ka shanti ka waasta !